Showing posts with label poetry. Show all posts
Showing posts with label poetry. Show all posts

Saturday, May 28, 2011

Meri Baat Kaise Wo Maanta

Meri Baat Kaise Wo Maanta

Mera Dard Kaise Wo Jaanta



Wo Tu Khud Fana K Safer Main Tha

Usay Rokna Bhi Muhaal Tha



Usay Apney Farda Ki Fiker Thi

Wo Jo Mera Waqif-E-Haal Tha



Wo Jo Us Ki Subha-E-Urooj Thi

Wohi Mera Waqt-E-Zawaal Tha



Wo Mila Jo Sadyoun Baad Bhi

Tu Merey Lab Pa Gilaa Na Tha



Usay Meri Chup Nai Rula Diya

Jisay Guftugoo Pey Kamaal Tha!!



Wo Tu Mujh Say Mil K Tha Ro Diyaa

Faqat Itna Hi Mujhey Keh Saka



Jisay Maanta Tha Main Zindagi

Wo To Sirf Wehm-O-Khayal Tha..!!!




Meri Baat Kaise Wo Maanta

Saturday, May 21, 2011

Labon Ki Sarsarahat Ke, Bad Choor Honay Taq,

Labon Ki Sarsarahat Ke, Bad Choor Honay Taq,

Main Tujhko Is Tarah Chahun, K Meri Saans Ruk Jaye,



Khataon Par Khata'ain Hon, Na Ho Kuch Baat Kehne Ko,

Main Tujh Mein Yun Sama Jaon, K Meri Saans Ruk Jaye,



Na Himat Tujh Mein Ho Baqi, Na Himat Mujh Mein Ho Baqi,

Magar Itna Qarreb Aon, K Meri Saans Ruk Jaye,



Tere Honton Ko Jab Rakhon, Main Apnay Hont Kuch Aise,

Ya Teri Pyaas Bujh Jaye, Ya Meri Saans Ruk Jaye.......!!!!!

Wednesday, April 20, 2011

Sad Poetry



Dil Mein Ek Kona Hoota Hai -





Her Kisi Ke Dil Mein Ek Kona Hoota Hai



Uss Kone Mein Kisi Ke Liye Pyaar Bhara Hota hai



Uss Kone Mein Ek Tasveer Sajji Hooti Hai



Woo Tasveer Uss Ke Sajan Ki Hooti Hai



Kaash Mere Dil Ke Kone Mein Bi



Kisi Ki Tasveer Sajji Hoti



Uss Kone Mein Bi Kisi Ke Liye Pyaar Bhara Hota



Magar Kaise Sajaoon Iss Mein Kisii Ki Tasveer



Dil Ka Woo Haseen Kona Tho Kya



Mere Tho Poora Dil Hi Ghayil Hai Zahmoon Se



Darthi Hoon Main Ke Kahi Woo Tasveer



Woo Pyaar Aur Ghayil Na Ker De Iss Dil Ko



Aur Zakham Kaise Seh Payegi Nisha



Zakham Be Aise Ke Jinhain Main



Ta Hayaat Na Bhar Paoon Gi



Mere Dil Ka Yeh Haseen Kona



Shayed Ab Kisi Ka Na Hoo Ga

Wednesday, April 13, 2011

Uskay Labon Pe

Uskay Labon Pe Raat Kahani Ghazab Ki Thi,

Jazbaat Beh Rhay Thay, Rawani Ghazab Ki Thi,



Raja Bhi Lajawab Tha, Wadi-E-Ishq Ka,

Lakin Diyar-E-Husan Ki Rani Ghazab Ki Thi,



Kya Kya Na Sham Ai, Meri Umar Me Magr,

Guzri Jo Teray Sath, Suhani Ghazab Ki Thi,



Dekhi Hain Main Ne Shehr Main Charhti Jawaniyan,

Lakin Jo Tujh Pe Ai, Jawani Ghazab Ki Thi,

Friday, April 8, 2011

Suhane moosmon ki dilkashi awaaz deti hay





Suhane moosmon ki dilkashi awaaz deti hay



Sono tum bi k ek duniya nai awaaz deti hay



Jahan nafrat k snatoon ne dairy daal rakhe hain



Wahan ab chahaton ki chandni awaaz deti hay



Nikal aoo judai k andhron se nikal aoo



Ujaloon ka safar hay roshani awaaz deti hay



Mere dil tak ponch jao yeh sangham hay wafaon ka



Yeheen to zndagi ko zindagi awaaz deti hay



Chamak utho ge tum ek bar phir meri ghazal ban kar



Suno,phir tum ko meri shaeri awaaz deti hay



Jahan se ham"Qateel"aee the mehka kar badan apna



Hameen ab tak woh pholon ki gali awaaz deti hay

Thursday, April 7, 2011

Barishon k mosam men





barishon k mosam men

muhabbaton k alam men



main ne us se pocha tha

chor to na jao gey?

us ne hath thaam kr

pyar se mujhe bola'

kese chor sakta hon?

tum to jan ho meri.



or aj aisa ha.



barishon k mosam men

wehshaton k alam men

main ne us se pocha ha?

chor k jo jana tha

muskurati galion men

to aas kyun dilai thi?

pyaas kyun jagai thi?



chaltey chaltey wo bola

mosmon ki adat ha

waqt par badal jana
. Sad








sad.JPG


sad.JPG

Monday, April 4, 2011

what is love?

"Kahte hain ke mohabat:



kisi ko pane ki khuwaish,

kisi ke sath chalne ki arso,

kisi ko apna banane ki justjo hy.




Mohabat ki takmel kisi ko palena hy."





Mere nazar main:



"Mohabat main kisi ke sath ki arsoo hoti hai

mager muhabat kisi ko apna bane ne ka nahi

kisi ka ban ke rahne ka name hai.



Muhabat ki kakmeel kisi ko apna bane lena nahi.

kud kisi ka hojana hai.

asay ke nazar uthe bhi to koi nazar na aay."




Aap ki nazar main muhabat kia hy?

mohabat ki takmel kia hy?

Tuesday, March 22, 2011

Kis aag Mein Pighal Rahin Hun....

Jalati Nahin Aur Jal Rahin Hun,



Kis aag Mein Pighal Rahin Hun....



Mafaluj Hain Haath-Paanv Mere,



Fir Zehen Mein Kyun Chal Rahin Hun....



Raai Ka Banaa Ke Ek Parvat,



Ab Is Pe Khud Hi Fisal Rahin Hun....



Kis Haath Se Haath Main Milaun,



Ab Apne Hi Haath Mal Rahin Hun....



Kyon Aaina Baar Baar Dekhun,



Main Aaj Nahin Jo Kal Rahin Hun....



Ab Kon Sa Dar Rahan Hai Baaki



Us Dar Se Kyon Main Nikal Rahin Hun....



Qadamon Ke Taley Toh Kuch Nahin Hai



Kis Cheez Ko Main Kuchal Rahin Hun....



Ab Koyi Nahin Rahan Sahaara,



Main Aaj Se Fir Sambhal Rahin Hun....



Yeh Barf Hataaon Mere Sir Se,



Main Aaj Kuch Aur Jal Rahin hun....!!!!

Sunday, August 1, 2010

We were just friends at the start



We were just friends at the start,

Always having fun, never apart

Then one day, something sparked

The next thing I knew, you had my heart.



The days flew by,

I lost track of time

Everytime I was with you,

I was on cloud nine.



Then one day, you asked me to be your girlfriend

I exclaimed, yes! and prayed we'd last until the very end.



No one could look into my eyes and say I wasn't happy,

Happy that I was with you, and you were with me.



With me in your arms, you told me you loved me,

Then gently kissed my forehead and gave me a squeeze.

I was convinced you were the one for me,

Apart from you, I would never be.



Just when I thought all was well,

Was when you began to put me through hell.

You said, we should just be friends

That's when I knew it was the end.



I looked into your eyes, trying to find out why,

It was all I could do, not to begin to cry.

Where I once saw love, I saw nothing,

I couldn't believe you no longer felt something.



I lay in bed, counting my tears,

Each representing what I'd hoped would be years.

Years of happiness, for us to be together,

A long-lived life, forever and ever.



But in my heart, I know this will never be,

For in yours, no longer is there a place for me.

I gave you my all; I gave you my heart,

Little did I know that you'd tear it apart.



Everyday I place a smile on my face,

As for tears, there is not a trace.

You ripped me apart, but yet it's true,

Forever and always, I'll still love you.

Friday, July 30, 2010

She waits for her lover

She waits for her lover



underneath the still silver moonlight.



Hoping he would come to her



on this evchanted night.


She dreams of him holding her



holding her tightly in his arms.



Gently and securely



romancing her with his charms.


She dreams of a night



filled with passion and desire



Making love underneath the moonlight



is what her body require.
She knows he will fulfill



her every wanting need.



With tender kisses and caresses



making her body plead.
She waits for her lover



wondering if he will come tonight.



Will he join her in her dreams,


underneath the silver moonlight?
Entertainment Blogs
Entertainment blog